Alfaaz ke jhote bandhan mai aghraaz ke gehre pardoon mai har shakhs mohabbat karte hai |
Ankhain band kar kar chalte hain rah-e-wafa mai log phir kehte hain mohabbat andhi hoti hai |
Baith jaate hain dil mai torr kar chale jaate hain be raham bande khuda ka ghar bhi nahi chorrte |
Bohut mushkil hai turk-e-ashiqui ka dard sehna bhi buhot dushwaar hai lekin mohabbat karte rehna bhi |
Dil-o-jaan se chahne wale barray naseeb se mila karte hain tum ye baat tasleem karoge mere bicharr jane ke baad |
Door rehne wale tere liye aik mashwara hai kabhi humara khayal aaye to apna khayal rakhna |
Ek lafaz jisay log zindagi kehte hain humne rakha hai dil usi naam se tumhe |
Jo baat hum keh nahi sakte usay hum farz karte hain chalo hum farz karte hain humain tumse mohabbat hai |
Kaise mohabbat karon bohut ghareeb hoon mai log bikte hain mai khareed nahi sakta |
Khushiyaan to kab se roth gayi hain kaash ke ghamon ko bhi kisi ki nazar lag jaaye |
Mai ne us se kaha Chorr do ya torr do mujhe unhon ne hans ke gale lagaya aur kaha chorr rahe hain aaj tujhe |
Mujhe aaj kal teri mohabbat thori kam kam lagti hai bhula diya hai mujhe ya mil gaya hai koi aur tujhe |
poetry in urdu love najane kis ke muqadar mai likhe ho tum magar such to ye hai ke umeedwar hum aaj bhi hain |
poetry urdu love neendon ki baghawat se ye nuqsaan howa hai ek shakhs ke khwabon ko tarsti rahi ankhain |
Ro ro kar sunaya tha jin ko apna haal-e-dil hans hans kar meri wafa ki wo toheen kar gaya |
Saans tham jaati hai par jaan nahi jaati dard hota hai par awaz nahi aati ajeeb log hain |
Tere khwaboon ka bhi hai shoq teri yadoon mai be hai maza samaj nahi ata so kar tera deedar karon ya jaag kar tujhe yaad karon |
Tujh ko sochon to aisa lagta hai jaise khushbo mai rang milte hain jaise sehra mai aag lagti hai |
Tum to apne thay zara haath to badaya hota ghair bhi doobne walay ko bacha lete hain |
Nahi hota to chorr de usay ishq koi baat nahi jo har kisi ke bas mai ho |
No comments:
Post a Comment