urdu poems Wo bhi kya log thay asaan thi rahain jinki band ankhain kiye ek simat chalay jaate thay |
poetry urdu Mohabbat daikh li mai ne zamane bhar ke logon ki jahan kuch daam zyada hoon wahan insaan bikte hain |
Aaj tukra gaya tha mai khudse aaj mai be hisaab toota hoon |
Bhool jayen to jee nahi lagta yaad atay ho to dam nikalta hai |
Har raat rote howe so jaate hain ghum ki chaadar aurr kar kya mohabbat itna barra gunah hai ke uski saza khatam he nahi hoti |
Har shaam charaghon ki tarah jalti hain ankhain kya koi chala jaaye to yun hota hai mohsin |
Hum mohabbat mai mubtala ho kar khud ko mushkil mai daal baithay hain |
Humain to kab se patta hai ke tu bewafa hai tujhe chaha is liye ke shaid teri fitrat badal jaaye |
Humne kab manga hai tumse mohabbat ka sila bas kabhi raste mai milon to joos pila diya karo |
Itna na yaad aya karo ke raat bhar so na sake subah ko surkh ankhoon ka sabab pochte hain loog |
Jis taraf bhi dekhon tera he aks muyasar hai ankhon ko ya har koi tum jaisa hai ya sara zamana tumho |
Kabhi milay fursat to itna zaroor batana faraz wo konsi mohabbat thi jo hum tumhe na de sakay |
Kisi aur ko mere haal se na gharaz hai na koi wasta mai bikhar gaya hoon samait lo mai bigarr gaya hoon sanwaar do |
Mai tujhko panay ki hasrat mai kab tak zilat uthata rahon koi aisa de mujh ko dhoka meri aas toot jaye |
Padne lagi hai tumpe zamanay ki ab nazar jalne lage hain log ab mere intikhaab se |
Phir uski yaad mai dil beqarar hai nasir bicharr ke jis se howi shehar shahar ruswayi |
Shehar ke chorahe par aina lekar mat jana apni surat daikh kar tujh ko har koi pathar marega |
Tajruba aik he ibrat ke liye kaafi tha mai ne dekha he nahi ishq dobara kar ke |
Toda kuch is ada se taluq usne ghalib ke saari umar hum apna qasoor dhondte rahe |
Tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumhe meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai |
Ye dar parda raqeebon se gilay shikwe nahi ache tumhe jo bhi shikayat thi humare robaro karte |
Ye mohabbat ka bandhan bhi kitna ajeeb hota hai mil jaaye to batain lambi bicharr jaaye to ratain lambi |
Yun baat bat pe muskorate ho kyun baar bar jaan lene ke tareeqe aur bhi hain hazar |
No comments:
Post a Comment