romantic urdu poetry Mila tha aik dil jo tumko de diya hazaroon bhi hote to tere liye hotay |
urdu romantic poetry Tum yaad nahi karte to hum gila kyun karain suna hai khamoshi bhi aik ada hai mohabbat nibhaane ki |
Aao kabhi yun bhi mere paas ke anay mai lamha aur janay mai zindagi guzar jaaye |
Ab awaaz aayi to tujhe nikaal ke pheenk donga a dil soja kaha na tera koi nahi |
Aina jhoot bolta hai har shakhs ke chehre par na janay kitne chahray hote hain kahan ye kisi ka |
Chuda kar haath narmi se ye he kehti hai mujhko abi tak ghair mehraam hoon tumhari kuch nahi lagti |
Din to is shehar ki ronaq mai guzar jata hai yaad kuch log sar-e-shaam bohut atay hain |
Fursat qaleel aur kahani taweel hai shikway to hain hazaar magar jaane dejiye |
Ghazab ki dhoop thi tanhaiyun ke jangal mai kai shajar thay magar koi saaya daar na tha |
Kaash waqat ke sehra mai lage tujhe mohabbat ki pyaas aur to tadap ke mangay mujhe paani ki tarah |
Kuch ghum nahi us say bicharr janay ka shakir afsoos itna hai mera ho ke bhi mera na ho saka |
Lehaaz-e-ishq na hota to tujh se ranjishain hotain shikayat sirf itni hai k tu samajha nahi mujko |
Mai tabah hoon tere pyaar mai tujhe dosron ka khayal hai kuch mere masale par ghoor kar meri zindagi ka sawal hai |
Neendain bhi nelaam ho jaati hain bazaar-e-ishq mai itna asaan hota hai kisi ko bhool jana |
Phir nahi baste wo dil jo ek baar ujarr jate hain qabrain jitni bhi sanwaron wahan ronaq nahi hoti |
Sach he kaha tha kisi ne tanha jeena seekh le Mohabbat jitni bhi sachi ho saath chod jaati hai |
Tu aik baar bhi humse mila nahi warna hum tere dil ko bhi tere khilaaf kar letay |
Tujhe kya khabar hai ke raat bhar tujhe daikh paane ko ek nazar raha saath chaand ke muntazir |
Wo ajab shakhs tha a zindagi jisay samaj kar bhi na samaj sakay mujhe chahta bhi ghazab ka tha mujhe chod kar bhi chala gaya |
Wo naraaz hote to usay har qeemat pe mana letay umar jo taluq he nahi rakhna chaiye to usay manaiyen kaise |
No comments:
Post a Comment